|
ma ka dudh piya hai to.................
ma ka doodh piya hai to............................. naradji , bore ho rahe the ........baithe, baithe , bahar varsha ho rahi thi, aasman se dharti ka drushya dekha . bambai me joro ki barish ho rahi thi, bambai me gali gali .har chauraha pani se bhara gaya tha ,.local train yanha wanha ruki padi thi , janata pareshan .jaldi ghar pahuchana tha ,lekinkya kare ,sab ki alag alag fikar ,kisi mahila ke bachche rah dekh rahe hoge ,unke pati ghar pahunche ki nahi ,bacho ko dudh kaun dega ..kisi ka bacha chhota hoga ,sal bhar ka ,paise ke chakkar me pati patni dono job karte hai ,sochti hogi kya hoga bache ka ,dudh ki bottle doodh garam karke kaun bharega bottle me ,kaun pilayega ,.....sab ko alag alag pareshani ,... koi mahashay khush hua varsha dekh kar ,chala mayakhana ,late jane ka ,bahana nahi dhoondhna padega ,sab ko alag alag soch ,
naradji varsha dekh dekh ho rahe the bore , kya kare sochte sochte .T.V. kiya on . T.V pe aarahi thi ,dharmendra ki purani filam(film) dharmendra kar rahe the gunde ki pitai , dharmendra> dahadte hue kutte kamine Ma ka doodh piya hai to samne aa.
puri filam me kai bar ma ka doodh piya hai to ye bata ,ye kar ..........jaise taise......... filam khatam huee ,varsha ruki ...........naradji ne socha ,thoda ghum ke aate hai , chale prabhuji ke dwar. prabhu aur laxmiji ,aaram se baithe the , naradji ko aavkar diya .......... padhariye mahrshi.........kise ho vats . Naradji> prabhu ka varsha anand le raha tha , baithe baithe ,t.V. on kiya dharmendra ki filam dekhi . har 20 minute bad dharmndra dialogue bolte the ma ka doodh piya hai to , samne aa, ye kar wo kar ...............ye dekh vichar aaya .aapse charcha karne ko jee chaha,prabhu
prabhuJi> hna... vats kaho dharmendra ke dilouge aapse aapko kya takleef ,filam hai isame ye sab chalta hai,
Naradji> prabhu dharti par aaj kal mahila e mata to man jati hai ,bachoko janam de deti hai .par khud ka dhhodh nahi pilati nahi , laxmiji ki aur dekh kar sharama gaye....aur kahte kahte ruk gaye............
Prabhuji> kya hogay naradji knyo ruk gaye ............(laxmiji ki aur dekhte hue) devi ki aur dekh kar,kya bat hai....
naradJI> prabhu dhartiwasi mahila e aaj kal sabse adhik apne sharir ki aur dhyan deti hai kya kahte hai dhartiwasi Figure ki aur, aur aisa kahte hai bacho ko Ma apna doodh pilati hai to unka wohi Figure kharab hojyega is dar se apana doodh nahi pilate
prabhuji> thik hai nahi pilati hai jante hai ham .lekin aapko kya takleef ,.
naradji> prabhu , filam me hero gunde pitate hue kya dilogue bolega ,knyo ki ma ka doodh to koi pita nahi hoaga, kya diloge bolega ......... , (hero ke baniyan pe doodh banati, "manufactorer "knyoki doodh bhi aaj kal nakli banane laga hai ,gay bhainsh ka doodh bhi pata nahi chalta sabhi co. apna apana brand bechati hai) X YZ KA DOODH piya hai to bat kar.............................
narayan ,narayan, narayan........
|
|